Q. Brahammand me kitne taare hai ?
Ans. Prathvi lar jitne samudri tat hai aur waha jitne baalu ke kan hai, usse kai jyada brahammand me taare hai.
aisa kahna hai American khagolwith "Karl Sagan" ka.
Yeh baat unhone ek TV show me kahi thi.
unhone kaha ki ek Aakashganga me 20k(hazaar) crore taare hote hai.
Unhone bbc (news channel) se kaha ki " doori ke hissab se hamari team ne Jo data jaari kiya hai , usme 2 kharab se kam taare hai yeh aakashganga ke kul taaro ka 1℅ hai".
Ginti ke is hisaab se aakashganga me kareeb 20k crore taare ho sakte hai.
But yeh sirf ek aakashganga ki baat hai, poore brahammand me kitne 😮
honge ?.
Professor gairy girmor batate hai ki dusre aakashganga me hamare aakashganga ke barabar taare ho sakte hai, agar humlog yeh pata laga le ki brahammand me kitni aakashganga hai to taaro ki sankhya ka andaja lagaya ja sakta hai.
Brahammand me 10k crore aakashganga hai.(anumaan ke hisaab se)
Brahammand me 10k crore aakashganga hai aur har aakashganga me kareeb 20k crore taare hai.
Ab in sankhyaon ka guna karke brahammand me taaro ki sankhya ka pata lagaya ja Sakta hai yaani 2 ke baad 22 zero (0) honge.
Kitne baalu ke kan hai samudri tat par:-
Chaliye Ab samudra tat ki baat karte hai.
Sabse pehle hume yeh pata lagana hoga ki poori duniya me kitne samudra tat hai aur uska ghanatva kitna hai, hum logo ko taton ki lambai, chaudai, aur gahraai ko maapna hoga.
Open street map ek aisa project hai, jispar duniyabhar ke kareeb 20lac log data saajha karte hai. America, birten aur Canada ki sarkaare bhi isme apna data saajha karti hai.
Paani aur ise vyavasthit karne waali sansthan delters ke shodhyakarta jenedi donchets kehte hai "agar hum open street map ke hisaab se pata lagate hai to ek tat austan 1.9 km lamba hai, duniya me kareeb 3lac km lamba reteela tat hai."
to Ab baat karte hai ki baalu ke kan kitne aayenge to hum ghan metre me maapenge ki 1 ghan metre me kitne baalu ke kan aayenge to aise samajhte hai.
1 ghan metre baalu me 1k crore kan hote hai.
Ab inke ghanatva ka pata lagana hoga.
Lekin yeh bahut mushkil hai par yeh kaha jaa sakta hai ki adhiktar tat kareeb 50 metre chauda aur kareeb 25 metre gahra hai.
Ab inhe guna ka ghanatva ka pata lagaya jaa sakta hai.
300000000*50*25=375000000000 yaani 37k 500 crore ghan metre.
Pratyek ghan metre me kareeb 1k crore kan hote hai.
Ab 37500 crore ko 1k crore se guna kar de to prathvi par sabhi samudri taton par rait ke kano ka pata lagaya jaa Sakta hai.
Ise guna karne par 3.75 ke baad 21 zero(0) honge yaani 4 ke baad 21 zero.
Hum paate hai ki 200000000000000000000
Taare hai brahammand me aur 400000000000000000000 rait ke kan hai pratvi ki taton par.
Yaani "karl saghan" sahi hai. Brahammand me prathvi ki samudri taton lar maujood baalu ke kano se jyada taare hai. Poore brahammand me taaro ki sankhya 2 ke baad 22 zero ke barabar hai.
to dosto aap samajh gaye honge ki brahammand me kitne taare hai aur aapko isi ke saath yeh bhi pata lag gaya hoga ki brahammand me aakashgangaye kitni hai aur ek aakashganga me kitne taare hai.
to dosto, aisi hi rochak jaankari ke liye milte hai agli post me blog ko subscribe to email karna mat bhooliyega.
dhanyawaad.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
दोस्तों मेरा नाम इरफान है और मैं एक ब्लॉगर हूँ.
इस ब्लॉग में डैली एक ब्लॉग पोस्ट किया जाएगा जो टेक से रिलेटेड होगा.
सब्सक्राइब टू ईमेल कीजिए ताकि आप कोई भी ब्लॉग मिस ना कर पाएँ.
धन्यवाद.